Aansu bhi kamaal hai
waqt bewaqt
kabhi bhi aa jaate hai
kisi bhi avsar
ko bahana banakar
kabhi khushi
mey, kabhi gham mey
kabhi dard
mey, kabhi takleef mey
azad hai inpar
koi bandish nhi
har avsar par
ek alag maksad ke saath
kabhi behad
khushi ke palo ko
bheegi palko
mey samatne ke liye
kabhhi dard
mey dil halka karne ko
kabhi haar
par, kabhi narazgi mey
takleef mey
darr ko bahar nikalkar
hosla aur
vishwas bharne ke liye
anmol hai
motiyo jaise phir bhi
chhalak jaate
hai aankhon se
beh jaate hai
mehez paane se
jab dil ke
siwa inki liye koi jagah nhi
toh kyu
zindagi mey bewjah
bekaar baato
ko mauka de rehne ka
Comments
Post a Comment