Hazaro rang hai pyaar ke aur lagbhag har rang hota hai har rishtey mey. Lekin sirf ek rishta aisa hai jaha har rang milta hai phir chahe woh dosti ho, hasi- mazak, narazgi, takraar, aur yaha tak ki nafrat bhi. Nafrat ke baad bhi woh rishta kahi na kahi kisi wajah se juda hee rehta hai.Aur jaha itne rang ho woh rishta sabse khaas apne aap hee ban jaata hai. and I know everyone know about it...
Popular posts from this blog
krisha
Krisha
-
Pyaar Hazaro dafa suna yeh shabd Sabhi ke liye iska arth alag Iske maaine, isse jude jazbat…ehsaas sab alag Aneko jode aur unn sabhi ki prem kahaani bhi alag Har kahaani ki shuruat alag… kabi dosti kabhi takraar Kabhi vishwas toh kabhi ek undekha anjaana khichaav Ek duje se judne ka bahaana dil dhund hee leta hai Pyaar ek aisa rishta hai jismey har rang shaamil hai Kabhi kisi ajnabee se pehli dafa milkar bhi aisa lagta hai Maano jaiso barso se pehchaan ho, koi apna sa ho Aur kabhi koi apna hee begaana sa lagne lagta hai Isi ehsaas aur khichaav ke kaaran dil laakho ki bheed mey bhi apno ko dhund hee leta hai… khud ko usse jodkar apni duniya bana leta hai usi ke ird gird hamari duniya ghumne lagti hai nhi jaanti yeh baatein yeh ehsaas such hai ya sirf kisse kahaanio se milne waala ek nazariya
Comments
Post a Comment