Pyaar

Hazaro dafa suna yeh shabdSabhi ke liye iska arth alagIske maaine, isse jude jazbat…ehsaas sab alagAneko jode aur unn sabhi ki prem kahaani bhi alagHar kahaani ki shuruat alag… kabi dosti kabhi takraarKabhi vishwas toh kabhi ek undekha anjaana khichaavEk duje se judne ka bahaana dil dhund hee leta haiPyaar ek aisa rishta hai jismey har rang shaamil haiKabhi kisi ajnabee se pehli dafa milkar bhi aisa lagta haiMaano jaiso barso se pehchaan ho, koi apna sa hoAur kabhi koi apna hee begaana sa lagne lagta haiIsi ehsaas aur khichaav ke kaaran dil laakho ki bheedmey bhi apno ko dhund hee leta hai…khud ko usse jodkar apni duniya bana leta haiusi ke ird gird hamari duniya ghumne lagti hainhi jaanti yeh baatein yeh ehsaas such haiya sirf kisse kahaanio se milne waala ek nazariya

Comments

Popular posts from this blog