Kehte hai khwab zindagi nhi hote
Par kaisa ho agar zindagi hee khwab ban jaaye toh
Khushi mey toh aksar sab khwab jaisa hee lagta hai
Par jab koi khwab jo dil ke kareeb ho woh tut jaaye
toh dukh mey dil haarkar, tutkar bikhar jaata hai
Itna ki usi khwab ke tukde khanjar se chubhne lagte hai,
Tab bhi yahi khayal aata hai ki zindagi jo ek haqeeqat hai
ek Khwab, ek sapna bankar reh jaaye
jis tarah aankhein khulne par khwab tut jaate hai waise hee yeh saanso ki dor jinke kaaran hum aaj zinda hai tut jaaye
Khushi mey toh khule gagan mey sabka
udne ko dil chahta hai pankh lagakar
Magar dukh mey apni hee zindagi bojh si lagne lagti hai
apno par bhi aur khud par bhi....

Comments
Post a Comment