aksar bachcho se sawal karte hai hum bade hokar kya banoge aur fir unke jawab par unki masumiyat par haste hai sochti hu yeh sawal toh bado se karna chahiye ki woh kya banna chahte hai.... bacha,insaan,farishta, umeed, sahara, khwaish, ya ek reason kisi ke hasne ka ya kisi ke aansuo ki wajah ya fir shaitaan kyuki aajkal yahi choices reh gayi hai....doctor, engineer, pilot etc. yeh sab banna aaj itna important nhi jitna ki ek achcha insaan banna hai....sochiye aur faisla kijiye aapko kya banna hai insaan ya shaitaan ??
Posts
Showing posts from 2019
- Get link
- X
- Other Apps
krisha
Krisha
-
Galtiya kabhi bewajah nhi hoti har galti ke peeche ek kaaran hota hai kabhi maasumiyat, kabhi nadaani, kabhi kuch naya seekhne ki koshish, kabhi humare principals, kabhi gussa, kabhi ego ya attitude, kabhhi majburi lekin hum sirf galtiya dekhte hai uske peeche ki wajah dekhne ya jaanne ki koshish kabhi nhi karte. kabhi karke dekhiiye shayad khud ki tarah auro ko samajhne mey aur maaf karne mey aasaani ho jaaye ...
- Get link
- X
- Other Apps
krisha
Krisha
-
Kehte hai khwab zindagi nhi hote Par kaisa ho agar zindagi hee khwab ban jaaye toh Khushi mey toh aksar sab khwab jaisa hee lagta hai Par jab koi khwab jo dil ke kareeb ho woh tut jaaye toh dukh mey dil haarkar, tutkar bikhar jaata hai Itna ki usi khwab ke tukde khanjar se chubhne lagte hai, Tab bhi yahi khayal aata hai ki zindagi jo ek haqeeqat hai ek Khwab, ek sapna bankar reh jaaye jis tarah aankhein khulne par khwab tut jaate hai waise hee yeh saanso ki dor jinke kaaran hum aaj zinda hai tut jaaye Khushi mey toh khule gagan mey sabka udne ko dil chahta hai pankh lagakar Magar dukh mey apni hee zindagi bojh si lagne lagti hai apno par bhi aur khud par bhi....
- Get link
- X
- Other Apps
krisha
Krisha
-
Aansu bhi kamaal hai waqt bewaqt kabhi bhi aa jaate hai kisi bhi avsar ko bahana banakar kabhi khushi mey, kabhi gham mey kabhi dard mey, kabhi takleef mey azad hai inpar koi bandish nhi har avsar par ek alag maksad ke saath kabhi behad khushi ke palo ko bheegi palko mey samatne ke liye kabhhi dard mey dil halka karne ko kabhi haar par, kabhi narazgi mey takleef mey darr ko bahar nikalkar hosla aur vishwas bharne ke liye anmol hai motiyo jaise phir bhi chhalak jaate hai aankhon se beh jaate hai mehez paane se jab dil ke siwa inki liye koi jagah nhi toh kyu zindagi mey bewjah bekaar baato ko mauka de rehne ka
- Get link
- X
- Other Apps
krisha
Krisha
-
Hazaro rang hai pyaar ke aur lagbhag har rang hota hai har rishtey mey. Lekin sirf ek rishta aisa hai jaha har rang milta hai phir chahe woh dosti ho, hasi- mazak, narazgi, takraar, aur yaha tak ki nafrat bhi. Nafrat ke baad bhi woh rishta kahi na kahi kisi wajah se juda hee rehta hai.Aur jaha itne rang ho woh rishta sabse khaas apne aap hee ban jaata hai. and I know everyone know about it...
- Get link
- X
- Other Apps
krisha
Krisha
-
Kismat nirali aur usse likhne waala sabse nirala Kabhi kuch deta hai kabhi kuch le leta hai Uske kuch le lene par narazgi aur shikayat hum hamesha karte hai…..Par shayad uske kuch dene par usse dhanyawad hamesha nhi karte honge Woh jab bhi jo bhi deta hai kisi wajah se deta hai. Jiski keemat hum uss pal nhi samajh paate lekin waqt hume samjha deta hai Phir chahe woh khushi ho, gham ho ya koi takleef uski di hui har bhet mey ek jaadu hota hai. Woh jaadu jo hamare andar chipe ek naye roop ko sahi waqt aur situation ke according hamare saamne laakar hume khud se ru- baru karata hai. Aur humse jo wapas le leta hai ya door kar deta hai woh sirf isiliye taaki hum uss cheez ya uss insaan ki keemat samajh paaye. Yeh jaan paaye ki jo humse door hua uski kya ahmeeyat hai hamari zindagi mey…