Kismat nirali aur usse likhne waala sabse nirala
Kabhi kuch deta hai kabhi kuch le leta hai
Uske kuch le lene par narazgi aur shikayat hum hamesha karte hai…..Par shayad uske kuch dene par usse dhanyawad hamesha nhi karte honge
Woh jab bhi jo bhi deta hai kisi wajah se deta hai. Jiski keemat hum uss pal nhi samajh paate lekin waqt hume samjha deta hai
Phir chahe woh khushi ho, gham ho ya koi takleef uski di hui har bhet mey ek jaadu hota hai.
Woh jaadu jo hamare andar chipe ek naye roop ko sahi waqt aur situation ke according hamare saamne laakar hume khud se ru- baru karata hai.
Aur humse jo wapas le leta hai ya door kar deta hai woh sirf isiliye taaki hum uss cheez ya uss insaan ki keemat samajh paaye. Yeh jaan paaye ki jo humse door hua uski kya ahmeeyat hai hamari zindagi mey…

Comments
Post a Comment