Kia tha barso jiska intezaar kabhi
Aazma raha woh bhi hamari mohobat abhi
Dekar hume intezaar ka tohfa
De raha dil ko apne sukoon yeh kehkar
Ki uska sanam nhi koi bewafa…
Jaan hai jismey hamari basi
Dekh raha hai had hamari bebasi ki
Ki karte hai hum intezaar ya thak kar uth chalte hai kahi
Ek nayi disha mey dhoondne apni manzil kahi

Karte hai ab rab se dua yahi ki…saath apna nay eh choote kabhi
Khare utare uski iss aazmaaish mey…kehne ka mauka de usse ki
Uska saathi hai basa uski nazro mey kahi
Jo dhundo kabhi dil se woh milegi wahi

Hoga tabhi yeh intezaar khatam…jab saath honge humdum
Na hogi tab koi pariksha na koi aazmaaish
Kuch hoga toh bus beintehaa pyaar aur atut vishwas…

Comments

Popular posts from this blog