Khamoshi aur tanhai se koi lagaav na tha fir bhi na jaane kaise zindagi ka hissa ban gaye. Bhale hee zyada baat karna pasand nhi tha lekin fir bhi khamosh na ho jaaye ek saathi talaashte rahe. Saathi jisse bewajah hee baatein hoti rahe, jiske rehte kabhi tanhai ka ehsaas na ho. Par shayad yeh bhi qismat ko raas na aaya…yahi kaaran hai kisi se khayal toh kisi se dil na mil paaya. Ab toh khamoshi aur tanhai ki aisi aadat lag gayi hai ki bheed mey bhi..logo ke shor mey bhi inhe hee talaashte hai. Aur jaha yeh khud hee maujood ho waha yeh raas nhi aate. Kehte hai kabhi mann dukhi ho toh inhee se sukoon milta hai. Lekin ab toh yeh sukoon hee dil ko sabse zyada chubhta hai. Kisi bhi cheez ka zarurat se zyada hona zehar hota hai …shayad isiliye toofan se pehle ki shanti mey ek khaunf hota hai. Kami mehsus hoti hai ab inmey shor ki.. apno ki baato ki, hasi ki, masti bhari takraar ki. Umeed karti hu yeh khamoshi aur tanhai ka daur khatam ho jaaye .Ghum hui khoi khushiya aur raunak fir...
Posts
Showing posts from October, 2021